yam-ba-yam phailā huā hai pyaas kā sahrā yahāñ
ik sarāb-e-tishnagī hai mauja-e-sahbā yahāñ
raushnī ke zāviyoñ par munhasir hai zindagī
aap ke bas meñ nahīñ hai aap kā saaya yahāñ
aate aate aañkh tak dil kā lahū paanī huā
kis qadar arzāñ hai apne ḳhuun kā saudā yahāñ
tere mere darmiyāñ haa.il rahī dīvār-e-harf
rakh liyā ik baat ne har baat kā pardā yahāñ
dekhiye to ye jahāñ hai ik jahān-e-āb-o-gil
sochiye to zarre zarre meñ hai ik duniyā yahāñ