aa.e the tere shahr meñ kitnī lagan se ham
mansūb ho sake na tirī anjuman se ham
bezār aa na jaa.eñ ġham-e-jān-o-tan se ham
apne vatan meñ rah ke bhī haiñ be-vatan se ham
yuuñ be-ruḳhī se pesh na aa ahl-e-dil ke saath
uTh kar chale na jaa.eñ tirī anjuman se ham
ye sar-kashī junūñ nahīñ pindār-e-ishq hai
guzre haiñ daar se bhī usī bāñkpan se ham
mehr-o-mah-o-nujūm kī mānind roz-o-shab
har jaur-e-āsmāñ pe rahe ḳhanda-zan se ham
milte haiñ roz dast-e-sabā se payām-e-gul
zindāñ meñ bhī qarīb haiñ ahl-e-chaman se ham
'shā.ir' adab ke mohtasiboñ ko ḳhabar nahīñ
kyā kaam le rahe haiñ taġhazzul ke fan se ham