Himayat Ali Shayar

taKHatub hai tujhse KHayal aur ka hai

Himayat Ali Shayar

1926-2019
taḳhātub hai tujh se ḳhayāl aur kā hai
ye nukta vafā meñ baḌe ġhaur kā hai
vo ḳhalvat meñ kuchh aur jalvat meñ kuchh hai
karam us kā mujh par ajab taur kā hai
mirā chehra bhī merā chehra nahīñ hai
ye ehsān mujh par mire daur kā hai
ye nafrat mohabbat kā radd-e-amal hai
ki mujh se taqāzā tire jaur kā hai
na.e daur kī ibtidā kā hai zāmin
ki dil aa.ina gosha-e-saur kā hai
karachi meñ bhī mo'atabar ho rahā hai
suḳhan meñ jo andāz lahore kā hai
Top Urdushayar.com