ho chukī ab shā.irī lafzoñ kā daftar bāñdh lo
tañg ho jaa.e zamīñ to apnā bistar bāñdh lo
dosh par īmān kī gaThrī ho sar ho yā na ho
peT ḳhālī haiñ to kyā peToñ pe patthar bāñdh lo
āfiyat chāho to jhuk jaao sar-e-pā-posh-e-vaqt
phir ye dastār-e-fazīlat apne sar par bāñdh lo
qāzī-ul-hājāt se ik ahd bāñdhā thā to kyā
ab faqīh-e-shahr se ahd-e-mukarrar bāñdh lo
āshiyānoñ meñ chhupe baiThe haiñ sab shāhīn-o-zāġh
tum bhī 'shā.ir' tā.ir-e-taḳh.īl ke par bāñdh lo