Himayat Ali Shayar

kya kya na zindagi ke fasane raqam hue

Himayat Ali Shayar

1926-2019
kyā kyā na zindagī ke fasāne raqam hue
lekin jo hāsil-e-ġham-e-dil the vo kam hue
ai tishnagī-e-dard koī ġham koī karam
muddat guzar ga.ī hai in āñkhoñ ko nam hue
milne ko ek izn-e-tabassum to mil gayā
kuchh dil hī jāntā hai jo dil par sitam hue
dāman kā chaak chāk-e-jigar se na mil sakā
kitnī hī baar dast-o-garebāñ baham hue
kis ko hai ye ḳhabar ki ba-unvān-e-zindagī
kis husn-e-ehtimām se maslūb ham hue
arbāb-e-ishq-o-ahl-e-havas meñ hai farq kyā
sab hī tirī nigāh meñ jab mohtaram hue
'shā.ir' tumhīñ pe tañg nahīñ arsa-e-hayāt
har ahl-e-fan pe dahr meñ aise karam hue
Top Urdushayar.com