Himayat Ali Shayar

ab batao jaegi zindagi kahan yaro

Himayat Ali Shayar

1926-2019
ab batāo jā.egī zindagī kahāñ yaaro
phir haiñ barq kī nazreñ sū-e-āshiyāñ yaaro
ab na koī manzil hai aur na rahguzar koī
jaane qāfila bhaTke ab kahāñ kahāñ yaaro
phuul haiñ ki lāsheñ haiñ baaġh hai ki maqtal hai
shāḳh shāḳh hotā hai daar kā gumāñ yaaro
maut se guzar kar ye kaisī zindagī paa.ī
fikr pā-ba-jaulāñ hai guñg hai zabāñ yaaro
turbatoñ kī sham.eñ haiñ aur gahrī ḳhāmoshī
jā rahe the kis jānib aa ga.e kahāñ yaaro
rāhzan ke baare meñ aur kyā kahūñ khul kar
mīr-e-kārvāñ yaaro mīr-e-kārvāñ yaaro
sirf zinda rahne ko zindagī nahīñ kahte
kuchh ġham-e-mohabbat ho kuchh ġham-e-jahāñ yaaro
vaqt kā taqāzā to aur bhī hai kuchh lekin
kuchh nahīñ to ho jaao mere ham-zabāñ yaaro
ek maiñ huuñ jis ko tum mānte nahīñ 'shā.ir'
aur ek maiñ hī huuñ tum meñ nukta-dāñ yaaro
Top Urdushayar.com