badan pe pairahan-e-ḳhāk ke sivā kyā hai
mire alaav meñ ab raakh ke sivā kyā hai
ye shahr-e-sajda-guzārāñ dayār-e-kam-nazarāñ
yatīm-ḳhāna-e-idrāk ke sivā kyā hai
tamām gumbad-o-mīnār-o-mimbar-o-mehrāb
faqīh-e-shahr kī imlāk ke sivā kyā hai
khule saroñ kā muqaddar ba-e-faiz-e-jahl-e-ḳhirad
fareb-e-sāya-e-aflāk ke sivā kyā hai
tamām umr kā hāsil ba-fazl-e-rabb-e-karīm
mata-e-dīda-e-namnāk ke sivā kyā hai
ye merā da.avā-e-ḳhud-bīnī-o-jahāñ-bīnī
mirī jihālat-e-saffāk ke sivā kyā hai
jahān-e-fikr-o-amal meñ ye merā zom-e-vajūd
faqat numā.ish-e-poshāk ke sivā kyā hai