jab tak zamīñ pe reñgte saa.e raheñge ham
sūraj kā bojh sar pe uThā.e raheñge ham
khul kar baras hī jaa.eñ ki ThanDī ho dil kī aag
kab tak ḳhalā meñ paañv jamā.e raheñge ham
jhāñkegā ā.īnoñ se koī aur jab talak
hāthoñ meñ sañg-o-ḳhisht uThā.e raheñge ham
ik naqsh-e-pā kī tarah sahī is zamīn par
apnī bhī ek raah banā.e raheñge ham
jab tak na shāḳh shāḳh ke sar par ho tāj-e-gul
kāñToñ kā taaj sar pe sajā.e raheñge ham