Himayat Ali Shayar

apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main

Himayat Ali Shayar

1926-2019
apnā andāz-e-junūñ sab se judā rakhtā huuñ maiñ
chāk-e-dil chāk-e-garebāñ se sivā rakhtā huuñ maiñ
ġhaznavī huuñ aur giraftār-e-ḳham-e-zulf-e-ayāz
but-shikan huuñ aur dil meñ but-kada rakhtā huuñ maiñ
hai ḳhud apnī aag se har paikar-e-gul tābnāk
le havā kī zad pe miTTī kā diyā rakhtā huuñ maiñ
maiñ ki apnī qabr meñ bhī zinda huuñ ghar kī tarah
har kafan ko apne gird ehrām sā rakhtā huuñ maiñ
dasht-e-ġhurbat meñ huuñ āvāra misāl-e-gard-bād
koī manzil hai na koī naqsh-e-pā rakhtā huuñ maiñ
merā saaya bhī nahīñ merā ujāle ke baġhair
aur ujāle kā tasavvur ḳhvāb sā rakhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com