Himayat Ali Shayar

aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna

Himayat Ali Shayar

1926-2019
aañkh kī qismat hai ab bahtā samundar dekhnā
aur phir ik Dūbte sūraj kā manzar dekhnā
shaam ho jaa.e to din kā ġham manāne ke liye
ek shola sā munavvar apne andar dekhnā
raushnī meñ apnī shaḳhsiyat pe jab bhī sochnā
apne qad ko apne saa.e se bhī kam-tar dekhnā
sañg-e-manzil isti.āra sañg-e-marqad kā na ho
apne zinda jism ko patthar banā kar dekhnā
kaisī aahaT hai pas-e-dīvār āḳhir kaun hai
aañkh bantā jā rahā hai rauzan-e-dar dekhnā
aisā lagtā hai ki dīvāroñ meñ dar khul jā.eñge
sāya-e-dīvār ke ḳhāmosh tevar dekhnā
ik taraf uḌte abābīl ik taraf as.hāb-e-fīl
ab ke apne kāba-e-jāñ kā muqaddar dekhnā
safha-e-qirtās hai yā zañg-ḳhurda ā.īna
likh rahe haiñ aaj kyā apne suḳhan-var dekhnā
Top Urdushayar.com