Himayat Ali Shayar

ye shahr-e-rafiqan hai dil-e-zar sambhal ke

Himayat Ali Shayar

1926-2019
ye shahr-e-rafīqāñ hai dil-e-zār sambhal ke
milte haiñ yahāñ log bahut ruup badal ke
aariz haiñ ki murjhā.e hue phuul kañval ke
āñkheñ haiñ ki jhulse hue ḳhvāboñ ke mahal ke
chehra hai ki hai ā.īna-e-gardish-e-daurāñ
shahkār haiñ kyā kyā mire naqqāsh-e-azal ke
farhād sar-e-dār hai shīrīñ sar-e-bāzār
badle nahīñ ab tak magar andāz ġhazal ke
aa.e haiñ ġham-e-ishq meñ aise bhī maqāmāt
dil ḳhuun huā aañkh se aañsū bhī na Dhalke
duniyā bhī ik āmāj-gah-e-husn hai 'shā.ir'
dekho to zarā hajla-e-jānāñ se nikal ke
Top Urdushayar.com