chāñd ne aaj jab ik naam liyā āḳhir-e-shab
dil ne ḳhvāboñ se bahut kaam liyā āḳhir-e-shab
haa.e vo ḳhvāb ki ta.abīr se sarshār bhī thā
us kī āñkhoñ se jo in.aam liyā āḳhir-e-shab
haa.e kyā pyaas thī jab us ke laboñ se maiñ ne
muskurātā huā ik jaam liyā āḳhir-e-shab
maiñ jo girtā bhī to qadmoñ meñ usī ke girtā
us ne ḳhud baḌh ke mujhe thaam liyā āḳhir-e-shab
zindagī bhar kī masāfat kā mudāvā kahiye
us kī bāhoñ meñ jo ārām liyā āḳhir-e-shab