Himayat Ali Shayar

is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur

Himayat Ali Shayar

1926-2019
is dasht pe ehsāñ na kar ai abr-e-ravāñ aur
jab aag ho nam-ḳhurda to uThtā hai dhuāñ aur
vo qahat-e-junūñ hai ki koī chaak garebāñ
aatā hai nazar bhī to guzartā hai gumāñ aur
ye sañg-zanī mere liye bārish-e-gul hai
thak jaao to kuchh sañg ba-dast-e-digrāñ aur
sūraj ko ye ġham hai ki samundar bhī hai pāyāb
yā rab mire qulzum meñ koī sail-e-ravāñ aur
'shā.ir' ye zamīñ hazrat-e-ġhālib kī zamīñ hai
har sher talab kartā hai ḳhūn-e-rag-e-jāñ aur
Top Urdushayar.com