Himayat Ali Shayar

jo kuchh bhi guzarta hai mere dil pe guzar jae

Himayat Ali Shayar

1926-2019
jo kuchh bhī guzartā hai mire dil pe guzar jaa.e
utrā huā chehra mirī dhartī kā nikhar jaa.e
ik shahr-e-sadā siine meñ ābād hai lekin
ik ālam-e-ḳhāmosh hai jis samt nazar jaa.e
ham bhī haiñ kisī kahf ke as.hāb kī mānind
aisā na ho jab aañkh khule vaqt guzar jaa.e
jab saañp hī Dasvāne kī aadat hai to yaaro
jo zahr zabāñ par hai vo dil meñ bhī utar jaa.e
kashtī hai magar ham meñ koī nuuh nahīñ hai
aayā huā tūfān ḳhudā jaane kidhar jaa.e
maiñ saaya kiye abr ke mānind chalūñgā
ai dost jahāñ tak bhī tirī rāhguzar jaa.e
maiñ kuchh na kahūñ aur ye chāhūñ ki mirī baat
ḳhushbū kī tarah uḌ ke tire dil meñ utar jaa.e
Top Urdushayar.com