Himayat Ali Shayar

raat sunsan dasht o dar KHamosh

Himayat Ali Shayar

1926-2019
raat sunsān dasht o dar ḳhāmosh
chāñd taare shajar hajar ḳhāmosh
koī āvāz-e-pā na bāñg-e-jaras
kārvāñ aur is qadar ḳhāmosh
har taraf ik muhīb sannāTā
dil dhaḌaktā to hai magar ḳhāmosh
hue jaate haiñ kis liye āḳhir
ham-safar baat baat par ḳhāmosh
haiñ ye ādāb-e-rahguzar ki ḳhauf
rāh-rau chup haiñ rāhbar ḳhāmosh
muḳhtasar ho na ho shab-e-tārīk
ham ko jalnā hai tā sahar ḳhāmosh
Dhal chukī raat bujh ga.iiñ sham.eñ
raah taktī hai chashm-e-tar ḳhāmosh
jaane kyā baat kar rahe the ki ham
ho ga.e ek naam par ḳhāmosh
ham se 'shā.ir' bhī ho ga.e āḳhir
rañg-e-hālāt dekh kar ḳhāmosh
Top Urdushayar.com