is shahr-e-ḳhuftgāñ meñ koī to azaan de
aisā na ho zamīñ kā javāb āsmān de
paḌhnā hai to navishta-e-bainassutūr paḌh
tahrīr-e-be-hurūf ke ma.anī pe dhyān de
sūraj to kyā bujhegā magar ai havā-e-mahr
taptī zamīñ pe abr kī chādar hī taan de
ab dhuup se gurez karoge to ek din
mumkin hai saaya bhī na koī sā.ebān de
maiñ sochtā huuñ is liye shāyad maiñ zinda huuñ
mumkin hai ye gumān haqīqat kā gyaan de
maiñ sach to boltā huuñ magar ai ḳhudā-e-harf
tū jis meñ sochtā hai mujhe vo zabān de
sūraj ke gird ghuum rahā huuñ zamīñ ke saath
is gardish-e-mudām se mujh ko amaan de
maiñ tañgī-e-makāñ se na ho jā.ūñ tañg-dil
apnī tarah mujhe bhī koī lā-makān de
merī gavāhī dene lagī merī shā.erī
yārab mire suḳhan ko vo husn-e-bayān de