manzil ke ḳhvāb dekhte haiñ paañv kaaT ke
kyā sāda-dil ye log haiñ ghar ke na ghaaT ke
ab apne āñsuoñ meñ haiñ Duube hue tamām
aa.e the apne ḳhuun kā dariyā jo paaT ke
shahr-e-vafā meñ haqq-e-namak yuuñ adā huā
mahfil meñ haiñ lage hue paivand TaaT ke
khiñchtī thī jin ke ḳhauf se sadd-e-sikandarī
so.e nahīñ haiñ aaj vo dīvār chaaT ke
ab to darindagī kī naash bhī husn hai
dīvār par sajāte haiñ sar kaaT kaaT ke