har qadam par nit-na.e sāñche meñ Dhal jaate haiñ log
dekhte hī dekhte kitne badal jaate haiñ log
kis liye kiije kisī gum-gashta jannat kī talāsh
jab ki miTTī ke khilaunoñ se bahal jaate haiñ log
kitne saada dil haiñ ab bhī sun ke āvāz-e-jaras
pesh o pas se be-ḳhabar ghar se nikal jaate haiñ log
apne saa.e saa.e sar-nahuḌā.e āhista ḳhirām
jaane kis manzil kī jānib aaj kal jaate haiñ log
sham.a ke mānind ahl-e-anjuman se be-niyāz
aksar apnī aag meñ chup chaap jal jaate haiñ log
'shā.ir' un kī dostī kā ab bhī dam bharte haiñ aap
Thokareñ khā kar to sunte haiñ sambhal jaate haiñ log