Himayat Ali Shayar

dastak hawa ne di hai zara ghaur se suno

Himayat Ali Shayar

1926-2019
dastak havā ne dī hai zarā ġhaur se suno
tūfāñ kī aa rahī hai sadā ġhaur se suno
shāḳheñ uThā ke haath duā māñgne lagīñ
sargoshiyāñ chaman meñ haiñ kyā ġhaur se suno
mahsūs kar rahā huuñ maiñ karb-e-shikastagī
tum bhī shaguft-e-gul kī sadā ġhaur se suno
gulcheñ ko dekh letī hai jab koī shāḳh-e-gul
detī hai bad-duā ki duā ġhaur se suno
ye aur baat ḳhushk haiñ āñkheñ magar kahīñ
khul kar baras rahī hai ghaTā ġhaur se suno
shāḳhoñ se TūTte hue pattoñ ko dekh kar
rotī hai muñh chhupā ke havā ġhaur se suno
ye dasht-e-be-karāñ ye pur-asrār ḳhāmushī
aur duur ik sadā.e zarā ġhaur se suno
ye bāz-gasht merī sadā kī hai yā mujhe
āvāz de rahā hai ḳhudā ġhaur se suno
baḌhtī chalī hai arz-o-samā meñ kashīdgī
kaunain meñ hai hashr bapā ġhaur se suno
kab tak zamīñ uThā.e rahe āsmāñ kā bojh
ab TūTtī hai rasm-e-vafā ġhaur se suno
maiñ TūTtā huuñ ḳhair mujhe TūTnā hī hai
dhartī chaTaḳh rahī hai zarā ġhaur se suno
sahrā meñ chīḳhte haiñ bagūle to shahr shahr
ik shor hai sukūt-fazā ġhaur se suno
'shā.ir' tarāshte to ho dil meñ ḳhudā kā but
āvāza-e-shikast-e-anā ġhaur se suno
Top Urdushayar.com