aaj kī shab jaise bhī ho mumkin jāgte rahnā
koī nahīñ hai jaan kā zāmin jāgte rahnā
qazzāqoñ ke dasht meñ jab tak qāfila Thahre
qāfile vaalo raat ho yā din jāgte rahnā
tārīkī meñ lipTī huī pur-haul ḳhamoshī
is aalam meñ kyā nahīñ mumkin jāgte rahnā
aahaT aahaT par jaane kyuuñ dil dhaḌke hai
koī nahīñ atrāf meñ lekin jāgte rahnā
ThanDī havāoñ kā ai dil ehsāñ na uThānā
koī yahāñ hamdard na mohsin jāgte rahnā
rāh-numā sab dost haiñ lekin ai ham-safro
dost kā kyā zāhir kyā bātin jāgte rahnā
tāroñ kī āñkheñ bhī bojhal bojhal sī haiñ
koī nahīñ ab 'shā.ir' tujh-bin jāgte rahnā