Amir Hamza Saqib

dasht-e-bala-e-shauq mein KHeme lagae hain

Amir Hamza Saqib

Mumbai, Maharashtra, India

1971
dasht-e-balā-e-shauq meñ ḳheme lagā.e haiñ
ibn-e-ziyād-e-vaqt se kah do ham aa.e haiñ
ik kahkashāñ hī tanhā nahīñ vaj.h-e-dil-kashī
āñchal pe tere ham ne bhī motī luTā.e haiñ
tah kar chuke bisāt-e-ġham-o-fikr-e-rozgār
tab ḳhānqāh-e-ishq-o-mohabbat meñ aa.e haiñ
tum hī nahīñ ilāj-e-mohabbat se be-niyāz
ham ne bhī ehtiyāt ke purze uḌaa.e haiñ
lagtā yahī hai nuur ke rath par savār huuñ
āñkhoñ ne terī mujh ko vo raste sujhā.e haiñ
vahshat-sarā-e-dahr meñ bhī shād-kām haiñ
'sāqib' ye log kaun se jañgal se aa.e haiñ
Top Urdushayar.com