tire ḳhayāl ke jab shāmiyāne lagte haiñ
suḳhan ke paañv mire laḌkhaḌāne lagte haiñ
jo ek dast-e-burīda savād-e-shauq meñ hai
alam uThā.e hue us ke shāne lagte haiñ
maiñ dasht-e-hū kī taraf jab uḌaan bhartā huuñ
tirī sadā ke shajar phir bulāne lagte haiñ
ḳhabar bhī hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko
jalāne jalne meñ kyā kyā zamāne lagte haiñ
ye gard hai mirī āñkhoñ meñ kin zamānoñ kī
na.e libās bhī ab to purāne lagte haiñ
tumhāre meva-e-lab ko nigah se chhūte hī
ajiib lazzat-e-nāyāb paane lagte haiñ
jo sansanātā hai kuufa o nainvā kā ḳhayāl
gulu-e-jāñ kī taraf tiir aane lagte haiñ