Amir Hamza Saqib

tab kho baiTha har ek jauhar-e-KHaki mera

Amir Hamza Saqib

Mumbai, Maharashtra, India

1971
taab kho baiThā har ik jauhar-e-ḳhākī merā
jaane kis rañg meñ hogā gul-e-ḳhūbī merā
zabt-e-girya meñ hai mashshāq tamannā tū bhī
qatra qatra sahī dāman to bhigotī merā
chāk-e-vahsht se utārā to karam bhī farmā
yūñhī kab se hai dharā kūza-e-hastī merā
terī ḳhushbū tirā paikar hai mire sheroñ meñ
jaan yūñhī nahīñ ye tarz-e-misālī merā
merī duniyā isī duniyā meñ kahīñ rahtī hai
varna ye duniyā kahāñ husn-e-talab thī merā
Top Urdushayar.com