Amir Hamza Saqib

na to be-karani-e-dil rahi na to madd-o-jazr-e-talab raha

Amir Hamza Saqib

Mumbai, Maharashtra, India

1971
na to be-karāni-e-dil rahī na to madd-o-jazr-e-talab rahā
tire baad bahr-e-ḳhayāl meñ na ḳharosh uThā na ġhazab rahā
mire sāmne se guzar gayā vo ġhazāl dasht-e-murād kā
maiñ khaḌā rahā yūñhī be-sadā mujhe pās-e-had-e-adab rahā
use jāñ-guzāroñ se kyā shaġhaf use ḳhāksāroñ se kyā sharaf
vo fazīlatoñ ke dayār meñ ba-huzūr pā-e-nasab rahā
vahī bai.at-e-ġham-e-hijr thī vahī kashf-e-hujra-e-vasl thā
maiñ murīd-e-halqa-e-ḳhvāb thā so qarīn-e-murshid-e-lab rahā
tirī mamlikat ke nisāb par koī tabsira bhī kare to kyā
vahī raushnī kā safīr hai jo asīr-e-zulmat-e-shab rahā
Top Urdushayar.com