nizām-e-bast-o-kushād-e-mānī sañvārte haiñ
ham apne sheroñ meñ terā paikar utārte haiñ
ajab tilismī fizā hai saarī balā.eñ chup haiñ
ye kis bayābāñ meñ raat din ham guzārte haiñ
ġhubār-e-duniyā meñ gum hai jab se savār-e-vahshat
atash atash dasht o koh o dariyā pukārte haiñ
musāfirān-e-gumāñ raheñ kyuuñ kamar-ḳhamīda
chalo ye pushtāra-e-tamannā utārte haiñ
jabīn-e-ahl-e-ġharaz pe koī mukālima kyā
jahāñ tahāñ hājatoñ kī jholī pasārte haiñ