Hairat Allahabadi

suna hai zaKHmi-e-tegh-e-nigah ka dam nikalta hai

Hairat Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

-1892
sunā hai zaḳhmi-e-teġh-e-nigah kā dam nikaltā hai
tirā armān le ai qātil-e-ālam nikaltā hai
na āñkhoñ meñ muravvat hai na jā-e-rahm hai dil meñ
jahāñ meñ bevafā māshūq tum sā kam nikaltā hai
kahā āshiq se vāqif ho to farmāyā nahīñ vāqif
magar haañ is taraf se ek nā-mahram nikaltā hai
mohabbat uTh ga.ī saare zamāne se magar ab tak
hamāre dostoñ meñ bā-vafā ik ġham nikaltā hai
patā qāsid ye rakhnā yaad us qātil ke kūche se
koī nālāñ koī bismil koī be-dam nikaltā hai
Top Urdushayar.com