Hairat Allahabadi

ye mahw hue dekh ke be-saKHta-pan ko

Hairat Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

-1892
ye mahv hue dekh ke be-sāḳhta-pan ko
ā.īne meñ ḳhud chuum liyā apne dahan ko
kartī hai nayā roz mire dāġh-e-kuhan ko
ġhurbat meñ ḳhudā yaad dilā.e na vatan ko
chhoḌā vatan ābād kiyā mulk-e-dakan ko
taqdīr kahāñ le ga.ī yārān-e-vatan ko
kyā lutf hai jab monis o yāvar na ho koī
ham vādi-e-ġhurbat hī samajhte haiñ vatan ko
murjhā.e paḌe the gul-e-mazmūn hazāroñ
shādāb kiyā ham ne gulistān-e-suḳhan ko
ḳhidmat meñ tirī nazr ko kyā laa.eñ ba-juz dil
ham rind to kauḌī nahīñ rakhte haiñ kafan ko
Top Urdushayar.com