āgāh apnī maut se koī bashar nahīñ
sāmān sau baras kā hai pal kī ḳhabar nahīñ
aa jaa.eñ rob-e-ġhair meñ ham vo bashar nahīñ
kuchh aap kī tarah hameñ logoñ kā Dar nahīñ
ik to shab-e-firāq ke sadme haiñ jāñ-gudāz
andher is pe ye hai ki hotī sahar nahīñ
kyā kahiye is tarah ke talavvun-mizāj ko
vaade kā hai ye haal idhar haañ udhar nahīñ
rakhte qadam jo vādi-e-ulfat meñ be-dhaḌak
'hairat' sivā tumhāre kisī kā jigar nahīñ