dil kī jo aag thī kam us ko bhī hone na diyā
ham to rote the magar aap ne rone na diyā
sham.a kyuuñ parda-e-fānūs meñ chhup jaatī hai
us ne parvāne ko qurbān bhī hone na diyā
yād-dilbar meñ kabhī ai dil-e-muztar tū ne
ham ko chup-chāp kahīñ baiTh ke rone na diyā
āshiyāñ kā to koī zikr hai kyā ai sayyād
jamā tinkoñ ko kabhī barq ne hone na diyā
āstīñ ā.ankhoñ par us shoḳh ne rakh dī 'bāzal'
ro rahā thā mujhe kis vāste rone na diyā