kyā jiyegā koī ham ḳhāk-nashīnoñ kī tarah
ek ik pal yahāñ guzrā hai mahīnoñ kī tarah
us ne chaḌh kar mire kāñdhoñ pe falak chuum liyā
maiñ zamīñ par hī khaḌā rah gayā zīnoñ kī tarah
daur-e-hāzir meñ mohabbat kā koī mol nahīñ
dil bhī hone lage nīlām zamīnoñ kī tarah
ḳhud nahīñ chaltā koī aur chalātā hai use
ab to insān bhī tultā hai mashīnoñ kī tarah
jab se aayā hai fasādāt ke mausam meñ ubaal
ham bhī maujoñ meñ ghire TuuTe safīnoñ kī tarah
maiñ ne duniyā kī nigāhoñ se bachā kar ai 'kalīm'
dil meñ rakkhā tirī yādoñ ko dafīnoñ kī tarah