is tarah se na roliye aañsū
qahqahoñ meñ bhī gholiye aañsū
ham ne dil kī zamīñ ke badle meñ
apnī āñkhoñ meñ bo liye aañsū
de ke phir koī ġham jagā diije
so liye ḳhuub so liye aañsū
merī āñkhoñ meñ DhūñDhiye na unheñ
apne dil meñ TaToliye aañsū
jab ḳhayāl aayā koī dekh na le
āstīñ meñ samo liye aañsū
tanhā dekhā jo rāh-e-ulfat meñ
mere hamrāh ho liye aañsū
ho ga.e aur mohtaram ai 'kalīm'
āb-e-zam-zam se dho liye aañsū