Zulfiqar Aadil

nikla hun shahr-e-KHwab se aise ajib haal mein

Zulfiqar Aadil

1972
niklā huuñ shahr-e-ḳhvāb se aise ajiib haal meñ
ġharb mire junūb meñ sharq mire shumāl meñ
koī kahīñ se aa.e aur mujh se kahe ki zindagī
terī talāsh meñ hai dost baiThā hai kis ḳhayāl meñ
DhūñDte phir rahe haiñ sab merī jagah mirā sabab
koī hazār miil meñ koī hazār saal meñ
lafzoñ ke iḳhtisār se kam to huī sazā mirī
pahle kahāniyoñ meñ thā ab huuñ maiñ ik misāl meñ
mez pe roz sub.h-dam taaza gulāb dekh kar
lagtā nahīñ ki ho koī mujh sā mire ayaal meñ
phuul kahāñ se aa.e the aur kahāñ chale ga.e
vaqt na thā ki dekhtā paudoñ kī dekh-bhāl maiñ
kamroñ meñ bistaraoñ ke biich koī jagah nahīñ bachī
ḳhvāb hī ḳhvāb haiñ yahāñ ā.ankhoñ ke haspatāl meñ
gurg-o-samand o mūsh-o-sag chhāñT ke ek ek rag
phirte haiñ sab alag alag rahte haiñ ek khaal meñ
Top Urdushayar.com