safar pe jaise koī ghar se ho ke jaatā hai
har aabla mire andar se ho ke jaatā hai
jahāñ se chāhe guzar jaa.e mauja-e-ummīd
ye kyā ki mere barābar se ho ke jaatā hai
junūñ kā pūchhiye ham se ki shahr kā har chaak
isī dukān-e-rafūgar se ho ke jaatā hai
maiñ roz ek zamāne kī sair kartā huuñ
ye rāsta mire bistar se ho ke jaatā hai
hamāre dil meñ havāle haiñ saarī yādoñ ke
varaq varaq isī daftar se ho ke jaatā hai