Zulfiqar Aadil

so lene do apna apna kaam karo chup ho jao

Zulfiqar Aadil

1972
so lene do apnā apnā kaam karo chup ho jaao
darvāzo kuchh vaqt guzāro dīvāro chup ho jaao
kis kashtī kī umr hai kitnī mallāhoñ se pūchhne do
tum se bhī pūchheñge ik din dariyāo chup ho jaao
dekh liyā nā āḳhir miTTī miTTī meñ mil jaatī hai
ḳhāmoshī se apnā apnā hissa lo chup ho jaao
is vīrān-sarā kī mālik ek purānī ḳhāmoshī
āvāzeñ detī rahtī hai mehmāno! chup ho jaao
aisā lagtā hai ham apnī manzil par aa pahuñche haiñ
duur kahīñ ye rone kī āvāz suno chup ho jaao
ḳhud ko sābit karne se bhī baḌh jaatī hai tanhā.ī
kaun sī girheñ khol rahe ho sehr-garo chup ho jaao
peḌ purānā ho jaatā hai na.e parinde aane se
baat adhūrī hī rahtī hai kuchh bhī kaho chup ho jaao
Top Urdushayar.com