Zulfiqar Aadil

ek nafas nabud se bahar zara rahta hun main

Zulfiqar Aadil

1972
ik nafas nābūd se bāhar zarā rahtā huuñ maiñ
gum-shuda chīzoñ ke andar lāpata rahtā huuñ maiñ
jitnī bāteñ yaad aatī haiñ vo likh letā huuñ sab
aur phir ek ek kar ke bhūltā rahtā huuñ maiñ
garm-joshī ne mujhe jhulsā diyā thā ek din
andarūñ ke sard-ḳhāne meñ paḌā rahtā huuñ maiñ
ḳharch kar detā huuñ sab maujūd apne haath se
aur nā-maujūd kī dhan meñ lagā rahtā huuñ maiñ
jitnī gahrā.ī hai 'ādil' utnī hī tanhā.ī hai
bas ki sat.h-e-zindagī par tairtā rahtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com