kuchh ḳhaak se hai kaam kuchh is ḳhāk-dāñ se hai
jaanā hai duur aur guzarnā yahāñ se hai
dil apnī rā.egānī se zinda hai ab talak
ābād ye jahāñ bhī ġhubār-e-jahāñ se hai
bas ḳhaak paḌ ga.ī hai badan par zamīn kī
varna mushābahat to mirī āsmāñ se hai
dil bhī yahī hai vaqt bhī manzar bhī niiñd bhī
jaanā kahāñ hai ḳhvāb meñ jaanā kahāñ se hai
ik dāstāñ qadīm hai ik dāstāñ darāz
hai shaam jis kā naam vo kis dāstāñ se hai
vābasta mez-posh ke phūloñ kī zindagī
mehmān se hai mez se hai mezbāñ se hai