Zulfiqar Aadil

shab mein din ka bojh uThaya din mein shab-bedari ki

Zulfiqar Aadil

1972
shab meñ din kā bojh uThāyā din meñ shab-bedārī kī
dil par dil kī zarb lagā.ī ek mohabbat jaarī kī
kashtī ko kashtī kah denā mumkin thā āsān na thā
dariyāoñ kī ḳhaak uḌaa.ī mallāhoñ se yaarī kī
koī had koī andāza kab tak karte jaanā hai
ḳhandaq se ḳhāmoshī gahrī us se gahrī tārīkī
ik tasvīr mukammal kar ke un āñkhoñ se Dartā huuñ
fasleñ pak jaane par jaise dahshat ik chiñgārī kī
ham insāf nahīñ kar paa.e duniyā se bhī dil se bhī
terī jānib muḌ kar dekhā ya.anī jānib-dārī kī
ḳhvāb adhūre rah jaate haiñ niiñd mukammal hone se
aadhe jaage aadhe so.e ġhaflat bhar hushyārī kī
jitnā in se bhaag rahā huuñ utnā pīchhe aatī haiñ
ek sadā jārob-kashī kī ik āvāz bhikārī kī
apne aap ko gaalī de kar ghuur rahā huuñ taale ko
almārī meñ bhuul gayā huuñ phir chābī almārī kī
ghaTte baḌhte saa.e se 'ādil' lutf uThāyā saarā din
āñgan kī dīvār pe baiThe ham ne ḳhuub savārī kī
Top Urdushayar.com