jaane ham ye kin galiyoñ meñ ḳhaak uḌā kar aa jaate haiñ
ishq to vo hai jis meñ nā-maujūd mayassar aa jaate haiñ
jaane kyā bāteñ kartī haiñ din bhar aapas meñ dīvāreñ
darvāze par qufl lagā kar ham to daftar aa jaate haiñ
kaam mukammal karne se bhī shaam mukammal kab hotī hai
ek parinda rah jaatā hai baaqī sab ghar aa jaate haiñ
apne dil meñ geñd chhupā kar un meñ shāmil ho jaatā huuñ
DhūñDte DhūñDte saare bachche mere andar aa jaate haiñ
miim mohabbat paḌhte paḌhte likhte likhte kaaf kahānī
baiThe baiThe is maktab meñ ḳhaak barābar aa jaate haiñ
roz nikal jaate haiñ ḳhālī ghar se ḳhālī dil ko le kar
aur apnī ḳhālī turbat par phuul sajā kar aa jaate haiñ
ḳhaak meñ uñglī pherte rahnā naqsh banānā vahshat likhnā
in vaqtoñ ke chand nishāñ ab bhī kūzoñ par aa jaate haiñ
naam kisī kā raTte raTte ek girah sī paḌ jaatī hai
jin kā koī naam nahīñ vo log zabāñ par aa jaate haiñ
phir bistar se uThne kī bhī mohlat kab miltī hai 'ādil'
niiñd meñ aatī haiñ āvāzeñ ḳhvāb meñ lashkar aa jaate haiñ