yuuñ jo palkoñ ko milā kar nahīñ dekhā jaatā
har taraf ek hī manzar nahīñ dekhā jaatā
kaam itne haiñ bayābānoñ ke vīrānoñ ke
shaam ho jaatī hai aur ghar nahīñ dekhā jaatā
jhāñk lete haiñ garebāñ meñ yahī mumkin hai
aisī pastī hai ki uupar nahīñ dekhā jaatā
jis ko ḳhvāboñ ko zarūrat ho uThā kar le jaa.e
ham se ab aur ye daftar nahīñ dekhā jaatā