Zulfiqar Aadil

shukr kiya hai in peDon ne sabr ki aadat Dali hai

Zulfiqar Aadil

1972
shukr kiyā hai in peḌoñ ne sabr kī aadat Daalī hai
is manzar se dekho bārish hone vaalī hai
sochā ye thā vaqt milā to TuuTī chīzeñ joḌeñge
ab kone meñ Dher lagā hai baaqī kamrā ḳhālī hai
baiThe baiThe pheñk diyā hai ātish-dān meñ kyā kyā kuchh
mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā lī hai
apnī marzī se sab chīzeñ ghūmtī phirtī rahtī haiñ
be-tartībī ne is ghar meñ itnī jagah banā lī hai
der se qufl paḌā darvāza ik dīvār hī lagtā thā
us par ek khule darvāze kī tasvīr lagā lī hai
har hasrat par ek girah sī paḌ jaatī thī siine meñ
rafta rafta sab ne mil kar dil sī shakl banā lī hai
uupar sab kuchh jal jā.egā kaun madad ko aa.egā
jis manzil par aag lagī hai sab se nīche vaalī hai
ik kamrā sāyoñ se bharā hai ik kamrā āvāzoñ se
āñgan meñ kuchh ḳhvāb paḌe haiñ vaise ye ghar ḳhālī hai
pairoñ ko to dasht bhī kam hai sar ko dasht-navardī bhī
'ādil' ham se chādar jitnī phail sakī phailā lī hai
Top Urdushayar.com