Zulfiqar Aadil

peDon se baat-chit zara kar rahe hain hum

Zulfiqar Aadil

1972
peḌoñ se bāt-chīt zarā kar rahe haiñ ham
nādīda dostoñ kā patā kar rahe haiñ ham
dil se guzar rahā hai koī mātamī julūs
aur is ke rāste ko khulā kar rahe haiñ ham
ik aise shahr meñ haiñ jahāñ kuchh nahīñ bachā
lekin ik aise shahr meñ kyā kar rahe haiñ ham
palkeñ jhapak jhapak ke uḌāte haiñ niiñd ko
so.e huoñ kā qarz adā kar rahe haiñ ham
kab se khaḌe hue haiñ kisī ghar ke sāmne
kab se ik aur ghar kā patā kar rahe haiñ ham
ab tak koī bhī tiir tarāzū nahīñ huā
tabdīl apne dil kī jagah kar rahe haiñ ham
hāthoñ ke irti.āsh meñ bād-e-murād hai
chaltī haiñ kashtiyāñ ki duā kar rahe haiñ ham
vāpas palaT rahe haiñ azal kī talāsh meñ
mansūḳh aap apnā likhā kar rahe haiñ ham
'ādil' saje hue haiñ sabhī ḳhvāb ḳhvān par
aur intizār-e-ḳhalq-e-ḳhudā kar rahe haiñ ham
Top Urdushayar.com