Zulfiqar Aadil

ye raste mein jo shab khaDi hai haTa raha hun muaf karna

Zulfiqar Aadil

1972
ye rāste meñ jo shab khaḌī hai haTā rahā huuñ muaaf karnā
baġhair ijāzat maiñ din ko bastī meñ lā rahā huuñ muaaf karnā
zamīn banjar thī tum se pahle pahāḌ ḳhāmosh dasht ḳhālī
kahāniyo meñ tumheñ kahānī sunā rahā huuñ muaaf karnā
kuchh itne kal jam.a ho ga.e haiñ ki aaj kam paḌtā jā rahā hai
maiñ in parindoñ ko apnī chhat se uḌā rahā huuñ muaaf karnā
ye be-yaqīnī ajab nasha hai ye be-nishānī ajab sakūñ hai
maiñ in añdheroñ ko raushnī se bachā rahā huuñ muaaf karnā
inheñ sitāroñ ke sab latā.if sunā chukā huuñ hañsī hañsī meñ
aur ab charāġhoñ se apnā dāman bachā rahā huuñ muaaf karnā
mujhe batāne kā fā.eda kyā makīn kyā the makān kyā haiñ
maiñ us galī se na aa rahā huuñ na jā rahā huuñ muaaf karnā
Top Urdushayar.com