hameñ yūñhī na sar-e-āb-o-gil banāyā jaa.e
hamāre ḳhvāb diye jaa.eñ dil banāyā jaa.e
dikhā.ī detā hai tasvīr-e-jāñ meñ donoñ taraf
hamārā zaḳhm zarā mundamil banāyā jaa.e
agar jalāyā gayā hai kahīñ diye se diyā
to kyā ajab ki kabhī dil se dil banāyā jaa.e
shadīd-tar hai tasalsul meñ hijr kā mausam
kabhī milo ki use mo'tadil banāyā jaa.e
ye naqsh ban nahīñ saktā to kyā zarūrī hai
ḳharāb-o-ḳhasta o ḳhvār-o-ḳhajil banāyā jaa.e