ye mez ye kitāb ye dīvār aur maiñ
khiḌkī meñ zard phūloñ kā ambār aur maiñ
har shaam is ḳhayāl se hotā hai jī udaas
panchhī to jā rahe haiñ ufuq paar aur maiñ
ik umr apnī apnī jagah par khaḌe rahe
ik dūsre ke ḳhauf se dīvār aur maiñ
sarkār har daraḳht se bante nahīñ haiñ taḳht
qurbān aap par mire auzār aur maiñ
le kar to aa gayā huuñ mire paas jo bhī thā
ab sochtā huuñ terā ḳharīdār aur maiñ
ḳhushbū hai ik fazāoñ meñ phailī huī jise
pahchānte haiñ sirf sag-e-yār aur maiñ
kho.e huoñ ko DhūñDne niklā thā āftāb
duniyā to mil ga.ī sar-e-bāzār aur maiñ