jaib o garebāñ TukḌe TukḌe dāman ko bhī taar kiyā
kaise kaise ham ne apnī vahshat kā iz.hār kiyā
tauq-o-salāsil ham ne pahne ḳhud ko supurd-dār kiyā
ham ḳhud apnī jaan se guzre tab terā dīdār kiyā
ḳhūn-e-jigar āñkhoñ se bahāyā ġham kā sahrā paar kiyā
terī tamannā kī kyā ham ne jīvan ko āzār kiyā
rañj-o-alam kī bastī meñ ham ab tak tanhā tanhā haiñ
tum se thī ummīd-e-vafā so tum ne bhī inkār kiyā
husn vafā ḳhuddārī ġhairat har ik kī nīlām huī
ham logoñ ne āḳhir ik din bastī ko bāzār kiyā
rāh-e-amal meñ baazī āḳhir ik din tum hī jiit ga.e
ham ne vafā ik baar agar kī tum ne sitam sau baar kiyā
ham to 'zafar' har aan usī ke ġham meñ Duube rahte haiñ
jis ne ġham kī daulat baḳhshī ham pe baḌā upkār kiyā