yahāñ-vahāñ se idhar-udhar se na jaane kaise kahāñ se nikle
ḳhushī se jiine kī justujū meñ hazār ġham ek jaañ se nikle
ye kamtarī bartarī ke fitne ye ām-o-ālā ke sard jhagḌe
hamīñ ne naazo se dil meñ paale hamāre hī darmiyāñ se nikle
ḳhulūs kī guftugū to chhoḌo kisī ko fursat nahīñ hai ḳhud se
miyāñ ġhanīmat samajh lo shikve agar kisī kī zabāñ se nikle
jo ba.ad muddat milā kahīñ vo gile yuuñ āñkhoñ se us kī ubhre
ke jaise patthar sadī purāne kisī shikasta makāñ se nikle
ye shahr-e-ġham kī galī galī meñ jo ḳhvār phirte haiñ kuchh divāne
kabhī hue haiñ jahāñ se rusvā kabhī tire āstāñ se nikle