jo thā har aan mubtalā merā
vo bhī samjhā na mājrā merā
hai mohabbat meñ kuchh havas pinhāñ
tū na kariyo kabhī kahā merā
tere nazdīk rah ke bhī tujh se
kam hī kam vāsta rahā merā
sab se avval hai baat gaḌhne meñ
haa.e zālim muāshra merā
itnā vīrān thā maiñ andar se
mujh meñ man hī nahīñ lagā merā
kaash tū dhuup kī saḌak hotī
aks phir tujh pe dauḌtā merā
muḳhtalif hai ḳhudā zamāne ke
jaane ho kaun sā ḳhudā merā
kaun 'āfī' bune mujhe phir se
haath aatā nahīñ sirā merā