Aftab Shakeel

KHush-mizaji ka dikhawa bhi nahin kar sakte

Aftab Shakeel

1990
ḳhush-mizājī kā dikhāvā bhī nahīñ kar sakte
ham vo kāhil haiñ jo itnā bhī nahīñ kar sakte
vo sunāte haiñ rihā.ī ke farīze sab ko
jo rihā ek parinda bhī nahīñ kar sakte
kitne majbūr haiñ ham aam sī shakloñ vaale
ḳhud ko ījād dobāra bhī nahīñ kar sakte
chāhte haiñ jise dushman kī navāsī niklī
ab to ham ishq adhūrā bhī nahīñ kar sakte
is liye bantā nahīñ tanz tamāshe pe mire
yaañ to kuchh log tamāsha bhī nahīñ kar sakte
jism sāñso kī sitamgār ravāna se miyāñ
aisā bikhrā hai ikaTThā bhī nahīñ kar sakte
Top Urdushayar.com