ajab ma.amūl hai āvārgī kā
garebāñ jhāñktī hai har galī kā
na jaane kis tarah kaise ḳhudā ne
bharosa kar liyā thā aadmī kā
abhī is vaqt hai jo kuchh hai varna
koī lamha nahīñ maujūdgī kā
mujhe tum se bichhaḌne ke evaz meñ
vasīla mil gayā hai shā.irī kā
zamīñ hai raqs meñ sūraj kī jānib
chhupā kar jism aadhā tīrgī kā
maiñ ik hī sat.h par Thahrūñgā kaise
utartā chaḌhtā paanī huuñ nadī kā
maiñ miTTī gūñdh kar ye sochtā huuñ
mujhe fan aa gayā kūza-garī kā
khaTak jā.ūñgā sofe ko tumhāre
maiñ banda baiThne vaalā darī kā
maiñ us manzar meñ paayā hī gayā kab
jahāñ bhī zāviya niklā ḳhushī kā
samundar jis kī āñkhoñ kā ho ḳhālī
vo kaise ḳhvāb dekhe jal-parī kā
nikālo kiil ko dīvār meñ se
vagarna Taañg lo photo kisī kā