zahr-e-ġham dil meñ samone bhī nahīñ detā hai
karb-e-ehsās ko khone bhī nahīñ detā hai
dil kī zaḳhmoñ ko kiyā kartā hai taaza har-dam
phir sitam ye hai ki rone bhī nahīñ detā hai
ashk-e-ḳhūñ dil se umañD aate haiñ dariyā kī tarah
dāman-e-chashm bhigone bhī nahīñ detā hai
uThnā chāheñ to girā detā hai phir Thokar se
be-ḳhudī chāheñ to hone bhī nahīñ detā hai
har ghaḌī lagtī hai 'anvar' pe na.ī ik tohmat
kisī ilzām ko dhone bhī nahīñ detā hai